Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bal-e-Jibril-017) Ek Danish-e-Noorani, Ek Danish-e-Burhani (اک دانش نورانی، اک دانش برہانی) Reason is either luminous, or it seeks proofs;

Ek Danish-e-Noorani, Ek Danish-e-Burhani
Hai Danish-e-Burhani, Hairat Ki Farawani

Reason is either luminous, or it seeks proofs;
Proof‐seeking reason is but an excess of wonder.

Iss Paikar-e-Khaaki Mein Ek Shay Hai, So Woh Teri
Mere Liye Mushkil Hai Uss Shay Ki Nighabani

Thine alone is what I possess in this handful of dust;
And to keep it safe is beyond my power, O Lord!

Ab Kya Jo Fughan Meri Pohenchi Hai Sitaron Tak
Tu Ne Hi Sikhai Thi Mujh Ko Ye Ghazal Khawani

My songs of lament were all inspired by Thee;
If they have reached the stars, it is no fault of mine.

Ho Naqsh Agar Batil, Takrar Se Kya Hasil
Kya Tujh Ko Khush Ati Hai Adam Ki Ye Arzani?

Art Thou pleased, O Lord, with man’s imperfection?
Why repeat a flawed attempt, and make his shame eternal?

Mujh Ko To Sikha Di Hai Afrang Ne Zindeeqi
Iss Dour Ke Mullah Hain Kyun Nang-e-Musalmani !

The Western ways have tried to make me a renegade;
But why are our mullahs a disgrace to Muslims?

Taqdeer Shikan Quwwat Baqi Hai Abhi Iss Mein
Nadan Jise Kehte Hain Taqdeer Ka Zindani

Fools think man is a bondman of destiny;
But man has still the power to break the bonds of fate.

Tere Bhi Sanam Khane, Mere Bhi Sanam Khane
Dono Ke Sanam Khaaki, Dono Ke Sanam Fani

Thou hast Thy pantheon, and I have mine, O Lord!
Both have idols of dust; both have idols that die.

11 comments:

  1. ere Bhi Sanam Khane, Mere Bhi Sanam Khane
    Dono Ke Sanam Khaaki, Dono Ke Sanam Fani..
    Masha Allah Hazerate Iqbal is a great poet with a unique way of expression. Beautiful poetry
    Qazi M. Ahkam

    ReplyDelete
  2. Allah Dr.Allama Iqbal ko jannat-ul-firdos mein jaga dy (Ameen)

    Koi esa sajda b kar k zameen par nishan rhy.

    Lo kar geya na wo khud esa sajda, esa nishan chora zameen par. k ab agli sari dunia dekhay gi.
    Koi banda esa nai kar sakta. dunia bhula deti hai . Lakin unhon ny esa sajda kia hai k qadam qadam par yaad ayen ge. Dilon mein zinda hain .
    I love Dr. Allama Iqbal

    ReplyDelete
  3. Allah Dr.Allama Iqbal ko jannat-ul-firdos mein jaga dy (Ameen)

    Koi esa sajda b kar k zameen par nishan rhy.

    Lo kar geya na wo khud esa sajda, esa nishan chora zameen par. k ab agli sari dunia dekhay gi.
    Koi banda esa nai kar sakta. dunia bhula deti hai . Lakin unhon ny esa sajda kia hai k qadam qadam par yaad ayen ge. Dilon mein zinda hain .
    I love Dr. Allama Iqbal

    ReplyDelete
  4. Allama Iqbal is a prophetic poet. Indo-PAK people should make his poetry a must throughout the curricula.Dr javed

    ReplyDelete
  5. Can someone please explain the last two lines?

    Thou hast Thy pantheon, and I have mine, O Lord!
    Both have idols of dust; both have idols that die.

    Thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. kahaan Allah ky Mehbob SAWW aur Allah ka gher kahan mera mehbob aur mera gher....bss dono khaaki aur faani hein iss ky siwa sb kujh do alg baatien hein...may be it means to express small similarity and immense difference in worldly love and Pure love...meri tou rooh kaamp rahi hy ye likhty waqt :'(

      Delete
  6. kaafiron ne idols (butt) bana liay hain jis ko Sanam bhi kahtay hain... aur isi tarah Sanam "chahay janay walay" k meanings mein b use hota hai... ab is shair ko dubara perhain tou you will get the point

    ReplyDelete
    Replies
    1. "Tere be sanam khaanay" chalo ye kaafiro se muraad hai phir mere be sanam khaanay se kya matlab hai?

      Delete
  7. Is it wise to pray ALMIGHTY for grant of JANNAH to Allama sb when he desired
    " Yeh JANNAT Mubarak rahey Zahidon ko
    Keh main AAP ka samna chahatan hoon"

    ReplyDelete
  8. Meray b sanam khane tere b sanam khane.donu k sanam khaki donu k sanam faani.iss main shayr keh rahe hain k insaan jo apne andr ak dunya basa rakhta hai wo khaki ar faani hai mitti se bni hai ar fana hone wali hai.bss hqeeqat sirf allah ki zaat hai jo hamesha rehnay wali hai.

    ReplyDelete
  9. Can someone explain the whole peom in few lines? Urgent

    ReplyDelete