Pages

(Bal-e-Jibril-040) Aqal Go Aastan Se Door Nahin

Aqal Go Astan Se Door Nahin
Iss Ki Taqdeer Mein Huzoor Nahin

Though reason to the portal guide,
Yet entry to it is denied.

Dil-E-Beena Bhi Kar Khuda Se Talab
Ankh Ka Noor Dil Ka Noor Nahin

Beg God to grant a lighted heart,
For light and sight are things apart.

Ilm Mein Bhi Suroor Hai Lekin
Ye Woh Jannat Hai Jis Mein Hoor Nahin

Though knowledge lends to mind a glow,
No hoor is its Eden can ever show.

Kya Ghazab Hai Kh Iss Zamane Mein
Aik Bhi Sahib-E-Suroor Nahin

How strange that in the present time
No one owns the joy sublime!

Ek Junoon Hai K Ba-Shaur Bhi Hai
Ek Junoon Hai K Ba-Shaur Nahin

Some passions leave the mind intact,
While others make it blind to fact.

Na-Saboori  Hai Zindagi Dil Ki
Aah Woh Dil K Na-Saboor Nahin

The heart from unrest gets its life,
What pity if it knows no strife!

Be-Huzoori Hai Teri Mout Ka Raaz
Zinda Ho Tu To Be-Huzoor Nahin

You die because from God you flee,
If living, linked with God shall be.

Har Guhar Ne Sadaf Ko Tor Diya
Tu Hi Amada’ay Zahoor Nahin

The pearls have all their covering cleft,
Of urge to show you are bereft.

‘ARINI’ Mein  Bhi Keh Raha Hon, Magar
Ye Hadees-E-Kaleem (A.S)-O-Toor Nahin

Show unto me, though I too cry,
It is not tale of Moses and Sinai.

5 comments:

  1. Dil-E-Beena Bhi Kar Khuda Se Talab
    Ankh Ka Noor Dil Ka Noor Nahin

    Dil ki beenai haqeeqi binai hai. dil e bina khud shanas hota hai. jo apni haqeeqat ko janta hai k wo rab ka aeena hai. aeena akas dekhata hai. jo khuda shanasi krwata hai. ..jo allah ka zikar krta hai or jo zikar nahi krta wo zinda wa murda ki misal hai. allah k zikar se dil ki safai hoti hai or uski ankh banti hai....akh bana jahil bechara taan dekhain aay noor nazaraaa..

    kisi chez ko dekhany k liyay do nooron ki zaroorat hoti hai. aik ankh ka or aik suraj ka. agar suraj na ho to ankh nahi dekh skti, or agar ankh main binai(noor) na ho to suraj ka noor bhi baykar..allah pak ka naam zahir wa batin hai. zahir mean ayaan.... ab jab wo ayan or khula hai. to hamari ankh mai noor nahi hia. is liyay yeh ankh kisi tabeeb se banwani paray gi. takay usko dekh sakain. warna quran says: jo idhr andha raha kal kiamat k din wo udhr bhi andha hi rahay ga....

    or aik or jaga per irashd e bari tala hai. ankhain andhi nahi hoti balkay dil andhay hotay hian. yehi log janwaron ki misal hian balkay janwar se bhi badtar..or yehi log khasara panay walon mai se hian.

    aj apnay girewaan main jhankain kahin wo log hum to nahin???

    ReplyDelete
  2. Very nice blog... Keep it up... Stay blessed

    ReplyDelete
  3. Very nice work... May Allah bles you

    ReplyDelete