Pages

(Bal-e-Jibril-126) Abdur Rehman Awal Ka Boya Huwa Khajoor Ka Pehla Darakht Sarzameen-e-Andlus Mein

Abdur Rehman Awwal Ka Boya Huwa Khajoor Ka Pehla Darakht

FIRST DATE TREE SEEDED BY ABDUL RAHMAN THE FIRST

Sar Zameen-e-Andus Mein

Ye Ashaar Jo Abdur Rehman Awal Ki Tasneef Se Hain, ‘Tareekh Ul Maqra’ Mein Darj Hain, Mundarja  Zail  Urdu Nazam In Ka Azad Tarjuma Hai (Darakh Mazkoor Madina-Tuz-Zahra Mein Boya Gya Tha)

These verses from Abdul Rahman the First are quoted in Tarikh al Muqqari. The following Urdu poem is a liberal translation (the tree mentioned here was planted in Madinatut Zahra)

Meri Ankhon Ka Noor Hai Tu
Mere Dil Ka Suroor Hai Tu

You are the apple of my eye,
My heart’s delight:

Apni Wadi Se Door Hun Main
Mere Liye Nakhl-e-Toor Hai Tu

I am remote from my valley,
To me you are the Burning Bush of Sinai!

Maghrib Ki Hawa Ne Tujh Ko Pala
Sehra-e-Arab Ki Hoor Hai Tu

You are a houri of the Arabian Desert,
Nursed by the Western breeze.

Pardais Mein Na-Saboor Hun Main
Pardais Mein Na-Saboor Hai Tu

I feel homesick in exile,
You feel homesick in exile:


Ghurbat Ki Hawa Mein Bar-War Ho
Saqi Tera Nam-e-Sehar Ho

Prosper in this strange land!
May the morning dew quench your thirst!

Alam Ka Ajeeb Hai Nazara
Damaan-e-Nigah Hai Para Para

The world presents a strange sight:
The vision’s mantle is torn apart—

Himmat Ko Shanawari Mubarik!
Paida Nahin Behar Ka Kinara

May valour struggle with the waves if it must,
The other side of the river is not to be seen!

Hai Souz-e-Daroon Se Zindagaani
Uthta Nahin Khaak Se Sharara

Life owes itself to the heat of one’s soul:
Flame does not rise from dust.

Subah-e-Ghurbat Mein Aur Chamka
Toota Huwa Shaam Ka Sitara

The Syrian evening’s fallen star
Shined brighter in the exile’s dawn.

Momin Ke Jahan Ki Had Nahin Hai
Momin Ka Maqam Har Kahin Hai

There are no frontiers for the Man of Faith,
He is at home everywhere.

1 comment: