Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Zarb-e-Kaleem-054) Ilham Aur Azadi (الہام اور آزادی)

Ilhaam Aur Azadi
Revelation And Freedom

Ho Banda-e-Momin Azad Agar Sahib-e-Ilhaam
Hai Uss Ki Nigah Fikar-o-Amal Ke Liye Mehmaiz

By looks of man by God inspired! 
With zeal and fervor man is fired!

Uss Ke Nafas-e-Garam Ki Taseer Hai Aesi
Ho Jati Hai Khaak-e-Chamanistan Sharar Amaiz

The intense heat his breath imparts,
A blaze in park and orchard starts!

Shaheen Ki Ada Hoti Hai Bulbul Mein Namoodar
Kis Darja Badal Jate Hain Murghan-e-Sahar Khaiz!

The mode of hawks the nightingale displays,
 The birds that chirp change mode and ways!

Uss Mard-e-Khud Aagah-o-Khuda-Mast Ki Sohabat
Deti Hai Gadaon Ko Shikoh-e-Jam-o-Pervaiz

Such man rapt with Godʹs Love can raise,
Gives Low‐born to rank of Jam and Parvaiz!

Mehkoom Ke Ilhaam Se Allah Bachaye
Gharat Gar-e-Aqwam Hai Woh Soorat-e-Changaiz

God save from revelations of a thrall (slave),
 Like Genghis(Changez), he leads to nations’ fall!

1 comment:

  1. Shaheen Ki Ada Hoti Hai Bulbul Mein Namoodar
    Kis Darja Badal Jate Hain Murghan-e-Sahar Khaiz!
    please ap is ki meaning samjha saktay hai?

    ReplyDelete