Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Zarb-e-Kaleem-079) Ghazal

Ghazal

Na Main Ajami Na Hindi, Na Iraqi-o-Hijazi
Ke Khudi Se Main Ne Sikhi Do Jahan Se Be-Niazi

I donʹt belong to Faris or Hind, To Iraq or Hijaz donʹt trace my breed:
The self to me this much has taught Spurn both the worlds and pay no heed.

Tu Meri Nazar Mein Kafir, Main Teri Nazar Mein Kafir
Tera Deen Nafas Shumari, Mera Deen Nafas Gudazi

You are a heathen in my view the same to you may seem my creed
To count the breath, your faith and goal, While melting breath my job and deed.

Tu Badal Gya To Behar Ke Badal Gyi Shariat
Ke Mawafiq-e-Tadarowan Nahin Deen-e-Shahbazi

Tadaro = Aik Irani Prinda Chakor Ki Tarah Ka

Your change, no doubt, is good and well, And so your change of Muslim creed:
This Faith is meant for men, like hawks, It suits not pheasantsʹ quivering breed.

Tere Dast-o-Dar Mein Mujh Ko Woh Junoon Nazar Na Aya
Ke Sikha Sake Khird Ko Reh-o-Rasm-e-Kaar-Sazi

Such passionate Love of God and craze, In wilds and wastes has not caught my sight,
Whose magic force and rapture great, The faults of reason may set right.

Na Juda Rahe Nawa Gar Tab-o-Taab-e-Zindagi Se
Ke Halaki-e-Umam Hai Ye Tareeq-e-Ne Nawazi

A poet must neʹer keep aloof from noisy fretful stream of life
The bard, who shuns the facts and truths, Canʹt make the nation face its strife.

2 comments:

  1. Superb..mashaALLAH..

    can anybody explain plzz

    Tu Badal Gya To Behar Ke Badal Gyi Shariat
    Ke Mawafiq-e-Tadarowan Nahin Deen-e-Shahbazi

    ReplyDelete
  2. Islam Tera Desh Hai TU Mustafwi Hai
    Baju Teri Tauhid ki Quwat se kawi hai

    ReplyDelete