Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-016) Sada'ay Dard

Sadaye Dard
The Painful Wail

Jal Raha Hun Kal Nahin Parti Kisi Pehlu Mujhe
Haan Dabo De Ae Muheet-e-Aab-e-Ganga Tu Mujhe

Consumed with grief I am, I get relief in no way
O circumambient waters of the Ganges drown me

Sarzameen Apni Qayamat Ki Nafaq-Angaiz Hai
Wasl Kaisa, Yaan To Ek Qurb-e-Firaq Angaiz Hai

Our land foments excessive mutual enmity
What unity! Our closeness harbors separation

Badle Yak Rangi Ke Ye  Nashnayi Hai Ghazab
Aik Hi Khirman Ke Danon Mein Judai Hai Ghazab

Enmity instead of sincerity is outrageous
Enmity among the same barn’s grains is outrageous

Jis Ke Phoolon Mein Akhuwat Ki Hawa Ayi Nahin
Uss Cchaman Mein Koi Lutf-e-Naghma Pairayi Nahin

If the brotherly breeze has not entered in a garden
No pleasure can be derived from songs in that garden

Lazzat-e-Qurb-e-Haqiqi Par Mita Jata Hun Main
Ikhtilat-e-Mouja-o-Sahil Se Ghabrata Hun Main

Though I exceedingly love the real closeness
I am upset by the mixing of waves and the shore

Dana-e-Khirman Numa Hai Shayar-e-Maujiz Byan
Ho Na Khirman Hi To Iss Dane Ki Hasti Phir Kahan

The miraculous poet is like the grain from the barn
The grain has no existence if there is no barn

Husn Ho Kya Khudnuma Jab Koi Maeel Hi Na Ho
Shama Ko Jalne Se Kya Matlab Jo Mehfil Hi Na Ho

How can beauty unveil itself if no one is anxious for sight
Lighting of the candle is meaningless if there is no assembly

Zauq-e-Goyai Khamoshi Se Badalta Kyun Nahin
Mere Aaeene Se Ye Johar Nikalta Kyun Nahin

Why does the taste for speech not change to silence
Why does this brilliance not appear out from my mirror

Kaab Zuban Kholi Humari Lazzat-e-Guftar Ne!
Phoonk Dala Jab Chaman Ko Aatish-e-Paikar Ne

Alas! My tongue poured its speech down
When war’s fire had burnt the garden down

3 comments:

  1. ASSSLAMU ALAIKUM SIR.............

    DAGHAY SUJOOD TERI PAISHANI PAR HAI TO KIA

    KOI AISA SAHDA B KAR KAY ZAMEEN PAR NISHAN RHAIN........


    YAI IQBAL KI KIS NAZAM YA BOOK KA SHAIR HAI..KINDLY KOI BTA DAI

    ReplyDelete