Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-069) Husn-o-Ishq

Husn-e-Ishq
The Beauty And The Love

Jis Tarah Doobti Hai Kishti-e-Simeen-e-Qamar
Noor-e-Khursheed Ke Toofan Mein Hangam-e-Sehar

Just as the moon’s silver boat is drowned
In the storm of sun’s light at the break of dawn

Jaise Ho Jata Hai Gum Noor Ka Le Kar Anchal
Chandani Raat Mein Mehtab Ka Hum-Rang Kanwal

Just as the moon‐like lotus disappears
behind the veil of light in the moon‐lit night


Jalwa-e-Toor Mein Jaise Yad-Baiza-e-Kaleem
Mouja-e-Nukhat-e-Gulzar Mein Ghunche Ki Shamim

Just like the Kaleem’s radiant palm in the Tur’s effulgence
And the flower bud’s fragrance in the wave of garden’s breeze

Hai Tere Seel-e-Mohabbat Mein Tunhi Dil Mera

Similar is my heart in the flood of Your Love

Tu Jo Mehfil Hai To Hangama-e-Mehfil Hun Mein
Husn Ki Barq Hai Tu, Ishq Ka Hasil Hun Mein

If You are the assembly, I am the assembly’s splendour
If You are the Beauty’s thunder, I am the produce of Love

Tu Sehar Hai To Mere Ashk Hain Shabnam Teri
Sham-e-Ghurbat Hun Agar Main To Shafaq Tu Meri

If You are the dawn, my tears are Your dew
If I am traveller’s night, You are my twilight

Mere Dil Mein Teri Zulfon Ki Preshani Hai
Teri Tasveer Se Paida Meri Herani Hai

My heart harbours Your dishevelled hair locks
My bewilderment is created by Your picture

Husn Kamil Hai Tera, Ishq Hai Kamil Mera

Your Beauty is Perfect, my Love is perfect

Hai Mere Bagh-e-Sukhan Ke Liye Tu Baad-e-Bahar
Mere Betaab Takhiyyul Ko Diya Tu Ne Qarar

You are the spring’s breeze for my poetry’s garden
You gave tranquillity to my restless imagination

Jab Se Abad Tera Ishq Huwa Seene Mein
Naye Jouhar Huwe Paida Mere Aaeene Mein

Since Your Love took residence in my breast
New lights have been added to my mirror

Husn Se Ishq Ki Fitrat Ko Hai Tehreek-e-Kamal
Tujh Se Sar-Sabz Huwe Mer Umeedon Ke Nihal

Love’s nature gets stimulation for Perfection from Beauty
My hope’s trees flourished through Your favour

Qafla Ho Gya Asuda-e-Manzil Mera

My caravan has reached its destination.

1 comment: