Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-076) Koshish-e-Natamam

Kosish-e-Natamam
The Unsuccessful Effort

Furqat-e-Aftab Mein Khati Hai Paich-o-Taab Subha
Chasm-e-Shafaq Hai Khoon Fashan Akhtar-e-Shaam Ke Liye

The dawn is vexed by separation from the sun
The twilight’s eye is raining blood for the evening star

Rehti Hai Qais-e-Roz Ko Laila-e-Sham Ki Hawas
Akhtar-e-Subah Muztarib Taab-e-Dawam Ke Liye

The day’s Qais has the pining for the night’s Layla
The morning star is restless for perpetual radiance

Kehta Tha Qutb-e-Asman Qafla-e-Najoom Se
Humraho, Main Taras Gya Lutf-e-Kharaam Ke Liye

The sky’s polar star was saying to the stars’ caravan
“Companions! I am tantalized for the pleasure of walking”

Soton Ko Naddiyon Ka Shauq, Behar Ka Naddiyon Ko Ishq
Moja-e-Behar Ko Tapish Mah-e-Tamam Ke Liye

Springs desire rivers, rivers love the ocean
The ocean wave is in love with the full moon

Husn-e-Azal Ke Parda-e-Lala-o-Gul Mein Hai Nihan
Kehte Hain Be-Qarar Hai Jalwa-e-Aam Ke Liye

The eternal Beauty which is veiled in tulips and roses
Is considered to be restless for general manifestation

Raaz-e-Hayat Puch Le Khizr-e-Khajasta Gaam Se
Zinda Har Aik Cheez Hai Kosish-e-Natamam Se

Ask Khizr of blessed steps for the secret of life
Everything is alive with un‐achieved effort

No comments:

Post a Comment