Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-115) Gurah-e-Shawal Ya Hilal-e-Eid

Gurrah-e-Shawwal
Ya
Hilal-e-Eid


The Eid Crescent

Gurrah-e-Shawwal! Ae Noor-e-Nigah-e-Rozadar
Aa Ke The Tere Liye Muslim Sarapa Intizar

O the pride of Shawwal! O the fasting person’s darling!
Come! As Muslims were very anxiously waiting for you

Teri Peshani Pe Tehreer-e-Payam-e-Eid Hai
Sham Teri Kya Hai, Subah-e-Aysh Ki Tamheed Hai

The message of Eid is written on your forehead
Your evening is the preface to the dawn of pleasure

Sargazasht-e-Millat-e-Baiza Ka Tu Aaeena Hai
Ae Mah-e-Nau! Hum Ko Tujh Se Ulfat-e-Dairina Hai

You are the mirror of the history of Millat‐i‐Baidah
O crescent! We are your lovers since a very long time

Jis Ilm Ke Saye Mein Taigh Azma Hote The Hum
Dushmanon Ke Khoon Se Rangeen Qaba Hote The Hum

The banner under whose shade we wielded our swords
Under whose shade we used the blood of our enemies

Teri Qismat Mein Hum Aghoshi Ussu Raayat Ki Hai
Husn-e-Roz Afzoon Se Tere Aabru Millat Ki Hai

The companionship of this very banner is your destiny
The Millat’s honor is by your ever‐increasing beauty

Ashana Parwar Hai Qoum Apni, Wafa Aaeen Tera
Hai Muhabbat Khaiz Ye Pairhan-e-Seemeen Tera

Our nation is cherisher of friends, fidelity is your way
This silvery shirt of yours is the propagator of love

Auj-e-Gurdoon Se Zara Dunya Ki Basti Dekh Le
Apni Riffat Se Humare Ghar Ki Pasti Dekh Le!

Look at the earth’s habitation from your celestial apses!
Look at the depth of our abode from your eminence!

Qafle Dekh Aur Un Ki Barq Raftari Bhi Dekh
Rahru-e-Darmandah Ki Manzil Se Bezari Bhi Dekh

Look at the caravans and also look at their fast speed
At the destitute traveler’s estrangement with destination also look

Dekh Kar Tujh Ko Ufaq Par Hum Lutate The Guhar
Ae Tehi Saghar! Humari Aaj Nadari Bhi Dekh

On sighting you we used to give charity lavishly
O empty cup! Today at our indigence also look

Firqa Aarayi Ki Zanjeeron Mein Hain Muslim Aseer
Apni Azadi Bhi Dekh, Un Ki Giraftari Bhi Dekh

Muslims are tightly bound in chains of sectarianism
Look at your freedom and at their bondage also look

Dekh Masjid Mein Shikast-e-Rishta-e-Tasbeeh-e-Sheikh
But Kade Mein Barhaman Ki Pukhta Zunnari Bhi Dekh

In the mosque look at disintegration of the priest’s love
In the temple at the Brahman’s strong idol-worship also look

Kafiron Ki Muslim Aaeeni Ka Bhi Nazara Kar
Aur Apne Muslamon Ki Muslim Aazari Bhi Dekh

Look at the sight of the Muslim ways in the infidels’ life
And at your Muslims’ tormenting other Muslims also look

Barish-e-Sang-e-Hawadis Ka Tamashayi Bhi Ho
Ummat-e-Marhoom Ki Aaeena Deewari Bhi Dekh

Be the spectator of the shower of rocks of misfortunes
At the frailty of the Muslims Ummah’s abodes also look

Haan, Tamlluq Paishgi Dekh Aabru Walon Ki Tu
Aur Jo Be-Aabu The, Un Ki Khuddari Bhi Dekh

Yes, look at the advance flattery of the ‘honorable’ people
And at the self‐respect of the formerly shameless people also look

Jis Ko Hum Ne Ashna Lutf-e-Takallum Se Kiya
Uss Hareef-e-Bezuban Ki Garm Guftari Bhi Dekh

Whom we got acquainted with the taste of eloquence
At the haughty speech of that former speechless adversary look

Saaz-e-Ishrat Ki Sada Magrib Ke Aewanon Mein Sun
Aur Iran Mein Zara Matam Ki Tayyari Bhi Dekh

Listen to sounds of pleasurable orchestra in West’s palaces
And at the preparations for the mourning in Iran also look

Chaak Kar Di Turk-e-Nadan Ne Khilafat Ki Qaba
Sadgi Muslim Ki Dekh, Auron Ki Ayyari Bhi Dekh

The imprudent Turk has torn the cloak of the Divine Khilafah
Look at Muslims’ simplicity at other’s cunningness also look

Soorat-e-Aaeena Sub Kuch Dekh Aur Khamosh Reh
Sourish-e-Amroz Mein Mehw-e-Surood-e-Dosh Reh

Look at everything, and remain quiet like a mirror
In today tumult remain occupied in evening’s music!

2 comments:

  1. چوتھے شعر میں استعمال شدہ لفظ (ilm) ہے یا (alam) ہے؟

    ReplyDelete
  2. allama iqbal is great and his poetry is evergreen

    ReplyDelete