Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-124) Shayar

Shayar
The Poet

Jooye Surood Afreen Ati Hai Kohsar Se
Pi Ke Sharab-e-Lala Goon Mai Kada-e-Bahar Se

The melodious brook is coming down from the mountain
After drinking red wine from the tavern’s spring

Mast-e-Mai-e-Kharaam Ka Sun To Zara Payam Tu
Zinda Wohi Hai Kaam Kuch Jis Ko Nahin Qarar Se

Just listen to the message of the ecstatic stroller
Only he is living who unconcerned with resting is

Phirti Hai Wadiyon Mein Kya Dukhtar-e-Khush Kharaam-e-Abar
Karti Hai Ishq Baziyan Sabza-e-Murghzar Se

In the valleys the cloud’s elegant daughter is roaming
Exhibiting her love for the greenery of the meadow is

Jaam-e-Sharab Koh Ke Khum Kade Se Urati Hai
Past-o-Buland Kar Ke Tae Khaiton Ko Ja Pilati Hai

Stealing away the cup of wine from mountain’s tavern
Passing throughout ups and downs suckling the fields is

Shayar-e-Dil Nawaz Bhi Baat Agar Kahe Khari
Hoti Hai Uss Ke Faiz Se Mazra-e-Zindagi Hari

If the affectionate poet also exhibits the truth
Life’s cultivation greens up from his bountiful ways

Shan-e-Khalil Hoti Hai Uss Ke Kalam Se Ayan
Karti Hai Uss Ki Qoum Jab Apna Shiaar Azari

Khalil’s glory is evident from his verse
When his nation exhibits the Azar’s ways

Ahl-e-Zameen Ko Nuskha-e-Zindagi-e-Dawam Hai
Khoon-e-Jigr Se Tarbiat Pati Hai Jo Sukhanwari

For earth’s inhabitants is the recipe of eternal life
The literature which is nurtured in sincere ways

Gulshan-e-Dehr Mein Agar Jooye Mai-e-Sukhan Na Ho
Phool Na Ho, Kali Na Ho, Sabza Na Ho, Chaman Na Ho

If the book of literature’s wine in the world’s garden does not exist
The flower, the bud, the verdure, even the garden will not exist

No comments:

Post a Comment