Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-140) Shua-e-Aftab

Shua-e-Aftab
The Sun’s Ray

Subah Jab Meri Nigah Soudai-e-Nazara Thi
Asman Par Ek Shua-e-Aftab Awara Thi

At the dawn when my eye was enjoying the panorama
I saw that a ray of the sun was wandering about

Main Ne Pucha Uss Kiran Se “Ae Sarapa Iztarab!
Teri Jaan-e-Na-Shakeeba Mein Hai Kaisa Iztarab

I asked the ray, “O head to foot restlessness!
What kind of restlessness your impatient life has!

Tu Koi Choti Si Bijli Hai Ke Jis Ko Asman
Kar Raha Hai Khirman-e-Aqwam Ki Khatir Jawan

Are you a small little lightning, which the sky
Is nurturing to fall on the harvest of nations

Ye Tarap Hai Ya Azal Se Teri Khu Hai, Kya Hai Ye
Raqs Hai, Awargi Hai, Justujoo Hai, Kya Hai Ye?”

Is this a flash, or your eternal nature, what is it?
Is it a dance? wandering? seeking what is it?”

“Khufta Hungame Hain Meri  Hasti-e-Khamosh Mein
Parwarish Payi Hai Main Ne Subah Ki Aghosh Mein

“A sea of tumults is asleep in my silent life
My existence has been nurtured by the morning’s breeze

Muztarib Har Dam Meri Taqdeer Rakhti Hai Mujhe
Justujoo Mein Lazzat-e-Tanveer Rakhti  Hai Mujhe

My destiny keeps me constantly restless
Taste for enlightenment keeps me busy in seeking

Barq-e-Atish Khu Nahin, Fitrat Mein Go Naari Hun Main
Mehr-e-Alam Tab Ka Paigham-e-Baidari Hun Main

I am not fire‐brand lightning, though by nature fire I am
Message of awakening from the world-illuminating sun I am!

Surma Ban Kar Chashm-e-Insaan Mein Sama Jaun Gi Main
Raat Ne Jo Kuch Chupa Rakha Tha, Dikhlaun Gi Main

Becoming collyrium I shall enter the human eye
Whatever night had hidden I shall show to the eye

Tere Maston Mein Koi Jooya’ay Hoshiyari Bhi Hai
Sone Walon Mein Kisi Ko Zauq-e-Baidari Bhi Hai?”

Among your ecstatics is there any seeker of prudence also?
Among the sleeping people is anyone with taste of awakening also?”

No comments:

Post a Comment