Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-147) Phoolon Ki Shahzadi

Phoolon Ki Shehzadi
The Princess Of Flowers

Kali Se Keh Rahi Thi Aik Din Shabnam Gulisan Mein
Rahi Main Aik Muddat Ghuncha Haye Bagh-e-Rizwan Mein

One day the dew in the garden was saying to the flower bud
“I lived for a long time among the flower buds of Paradise

Tumhare Gulistan Ki Kaifiat Sarshar Hai Aesi
Nigah Firdous Dar Daman Hai Meri Chashm-e-Heeran Mein

The condition of your garden is so elegant
The Paradise’s sight is concealed in my bewildered eye

Suna Hai Koi Shehzadi Hai Hakim Iss Gulistan Ki
Ke Jis Ke Naqsh-e-Pa Se Phool Hon Paida Byaban Mein

I have heard that some princess is the ruler of this garden
With whose foot‐prints the wilderness would produce flowers

Kabhi Sath Apne Uss Ke Astan Tak Mujh Ko Tu Le Chal
Chupa Kar Apne Daman Mein Barang-e-Mouj-e-Bu Le Chal

Some day take me with you up to her palace
Take me concealed in your skirt like fragrance”

Kali Boli, Sareer Ara Humari Hai Woh Shehzadi
Darkhashan Jis Ki Thoukar Se Hon Pathar  Bhi Nageen Ban Kar

The flower bud said “On the throne is that princess of ours
By whose kick even stones become resplendent jewels

Magar Fitrat Teri Uftanda Aur Begam Ki Shan Unchi
Nahin Mumkin Ke Tu Pohenche Humari Hum-Nasheen Ban Kar

But your nature is bright and princess’ rank is elegant
It is not possible that you reach her in company with me

Pohench Sakti Hai Tu Lekin Humari Shahzadi Tak
Kisi Dukh Dard Ke Mare Ka Ashak-e-Atisheen Ban Kar

However you can reach up to our princess
By becoming the hot tear of some afflicted person

Nazar Uss Ki Payam-e-Eid Hai Ahl-e-Muhram Ko
Bana Deti Hai Gohar Ghamzadon Ke Ashak-e-Peham Ko

Her glance is the message of ‘Eid to the Muharram’s people
Turns the continuous tears of afflicted people into pearls.

2 comments: