Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-187) Farma Rahe Thay Sheikh Tareek-e-Amal Pe Wa'az

Farma Rahe The Shiekh Tareeq-e-Amal Pe Waaz
Kuffar Hind Ke Hain Tijarat Mein Sakht Kosh

The Sheikh was giving a sermon on the mode of operation
“The infidels of India are very hard working in business

Mushriq Hain Woh Jo Rakhte Hain Mushriq Se Lain Dain
Lekin Humari Qoum Hai Mehroom-e-Aqal-o-Hosh

Polytheists are those having trade relations with polytheists
But our nation’s people are lacking in intelligence and sense

Napaak Cheez Hoti Hai Kafir Ke Hath Ki
Sun Le, Agar Hai Gosh Musalman Ka Haq Neewosh

Unclean is the article touched by the infidel
Should listen if Muslim’s ears are amenable to truth!

Ek Badah Kash Bhi Waaz Ki Mehfil Mein Tha Shareek
Jis Ke Liye Nasihat-e-Waaiz Thi Baar-e-Gosh

A drunkard was also present in the sermon’s assembly
To whom such talks as those of the preacher were irksome

Kehne Laga Sitam Hai Ke Aese Quyood Ki
Paband Ho Tijarat-e-Saman-e-Khurd-o-Nosh

He said, “It is atrocious that in such restrictions
Are imprisoned the dealings in articles of eating and drink”

Main Ne Kaha Ke App Ko Mushkil Nahin Koi
Hindustan Mein Hain Kalmia Go Bhi Mai Farosh

I said, “There is no difficulty for you
As in India Muslims also are liquor sellers!”

No comments:

Post a Comment