Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Zarb-e-Kaleem-087) Khoob-o-Zisht

Khoob-o-Zisht
Foul And Fair

Sitargan-e-Faza Haye Neelgoon Ki Tarah
Takhiyyulat Bhi Hain Taba-e-Tulu-o-Ghuroob

Just like the stars that shine in azure sky,
Thoughts have short span of life and soon they die.

Jahan Khudi Ka Bhi Hai Sahib-e-Faraz-o-Nashaib
Yahan Bhi Maarka Aara Hai Khoob Se Na-Khoob

The realm of self has its ups and downs,
Even here, the Fair and Foul exchange their frowns.

Namood Jis Faraz-e-Khudi Se Ho, Woh Jameel
Jo Ho Nashaib Mein Paida, Qabeeh-o-Na-Mehboob

If self has reached the height, its acts are fine,
Debased, its deeds as good one canʹt define.

No comments:

Post a Comment