Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Zarb-e-Kaleem-202) Aag Uss Ki Phoonk Deti Hai Barna-o-Peer Ko

(17)

Aag Uss Ki Phoonk Deti Hai Barna-o-Peer Ko
Lakhon Mein Aik Bhi Ho Agar Sahib-e-Yaqeen

One man of certitude among millions
Can set afire all old and young.

Hota Hai Koh-o-Dasht Mein Paida Kabhi Kabhi
Woh Mard Jis Ka Faqr Khazaf Ko Kare Nageen

Seldom is born a man in this world
Whose faqr can transmute earth into gold.

Tu Apni Sar-Nawisht  Ab Apne Qalam Se Likh
Khali Rakhi Hai Khama-e-Haq Ne Teri Jabeen

Write your destiny with your own hand;
God’s pen has written nothing in your book of fate.

Ye Neelgun Faza Jise Kehte Hai Asaman
Himmat Ho Par Kusha To Haqiqat Mein Kuch Nahin

This bluish heaven which people call sky,
Is nothing if you are daring enough.

Balaye Sar Raha To Hai Naam Uss Ka Asman
Zair-e-Par Aa Gya To Yehi Asam, Zameen!

It is sky if it is above your head;
If it is under your wings, it becomes earth.

1 comment:

  1. Insan ka maksad sahib e yakeen hona hai. jab tk wo shak mai rahay ga. uska dunya wa akhirat ka mamla kharab hai. yakeen bhi teen terha ka. ilm ul yakeen, ain ul yakeen or haq ul yakeen.. haq ul yakeen k liyay kisi ustad se ilam e marffat sekhna chahiya...

    ReplyDelete