Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bal-e-Jibril-059) Taza Phir Danish-e-Hazir Ne Kiya Sehar-e-Qadeem

Taza Phir Danish-e-Hazir Ne Kiya Sahar-e-Qadeem
Guzar Iss Ehad Mein Mumkin Nahin Be-Chob-e-Kaleem

The magic old to life is brought by means of present science and thought:
The path of life cannot be trod without the aid of Moses’ Rod.

Aqal Ayyar Hai, Sau Bhais Bana Leti Hai
Ishq Bechara Na Mullah Hai Na Zahid Na Hakeem!

The mind is skilful in artful tasks, and can assume a hundred masks:
Poor helpless Love that knows no guise ain’t mullah, hermit or too wise.

Aysh-e-Manzil Hai Ghareeban-e-Mohabbat Pe Haram
Sub Musafir Hain, Bazahir Nazar Ate Hain Maqeem

Forbid the rest of lodge and bed to those who road of Love do tread:
Like travellers they always roam, though they seem to stay at home.

Hai Garan Sair Gham-e-Rahla-o-Zaad Se Tu
Koh-o-Darya Se Guzar Sakte Hain Manind-e-Naseem

Concern for journey’s food and steed, Like burden great, retards your speed:
Of this dead weight, if one be free, Like breeze can cross the mount and sea.

Mard-e-Darvaish Ka Sarmaya Hai Azadi-o-Marg
Hai Kisi Aur Ki Khatir Ye Nasaab-e-Zer-o-Seem

No wealth is owned by dervish free, at call of death he yields with glee:
He has not either gold or land, of him no one can tithe demand.

5 comments:

  1. amazing................

    ReplyDelete
  2. mashaAllah buhut aala kam kya hay... ek jagah jama kar kay......

    ReplyDelete
  3. MashaAllah buhut alaa kam kya hay aap logon ne is site par yeh khazana jamaa kar kay......hats off for you.

    ReplyDelete
  4. Aqal Ayyar Hai, Sau Bhais Bana Leti Hai...
    mullah deen ko apnay mutabik bana layta hai.....
    faqeer ain Huzoor PBUH se mulakat kr chuka hota hai to haqeeqi deen ko samjh kr us per amal krt hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bohat hi ajeeb taaweel ki aapne...kuch ka kuch kr diya..
      Iqbal ne kaha tha: ye muamle hain naazul jo teri raza ho tu kar,ke mujhe na raas aaya ye tareek-e-khaankaahi!!
      Allama Iqbal ka mansha sabko faqeer/Darwesh/Sufi banana nahi balki sabke dil ko faqeer banana hai! Zahid, Mulla aur hakeem agar sirf aql se deen tasleem karein aur dil us se na aashna ho to ye unhe kabhi ma'arfat nahi dila sakti Allah ki! yaani Allahi ki pehchan ka paimana khaalis aql nahi balki dil ki tasleem o raza bhi hai!
      in ash'aar se qatai ye mansha nahi ke unki taaeed ho jo juhala tasawwuf ke naam pr Rasulullah ki hadees ko pashe pusht daal kr "haddasna an qalbi min rabbi!" kh kr khurafaat aur kahaaniyan paroste haiN!! Allah hum sabko haq samajhne aur ifraat o tafreet se door rehne ki taufeeq de...Aameen ya Rabbal Aalameen!

      Delete