Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-191) Ye Aaya'ay Nau, Jail Se Nazil Huwi Mujh Par

Ye Aaya-e-Nau, Jail Se Nazil Huwi Mujh Par
Gita Mein Hai Quran To Quran Mein Geeta

This new ‘verse’ was revealed to me from the jail
That the Quran is in the Gita and the Gita is in the Quran

Kya Khoob Huwi Aashti-e-Sheikh-o-Barhman
Iss Jang Mein Akhir Na Ye Hara Na Woh Jeeta

How well friendship developed between Sheikh and Brahmin
In this battle after all neither this nor that was winning

Mandar Se To Bezar Tha Pehle Hi Se ‘Badri’
Masjid Se Nikalta Nahin, Ziddi Hai ‘Masita’

“Badri” was already disgusted with the temple
“Masita” does not step out of the mosque, he is stubborn.

1 comment:

  1. Allama marhoom ki is nazm ko mahaz tanz o mizaah ke zumrey mein na rakh kar agar sanjeedagi o tafakkur se parha jaaye to ismein unki wahadat ush shahood ki taraf aik hakeemaana nishaandahi pinha hai.

    Hakeem e millat aur sh'aair e mashriq Allama Dr Shaikh Muhammad Iqbal, Arabi aur Sanskrit donon zabaanon ki samajh bahoobi rakhte the! Agar aap unki Farsi taaleef Jaawed Naama ko parhte hain to usmein Vedic Adwaitwaad ki waazah nishaaney nazar aate hain. Maslan yeh Farsi ash'aar:

    MAI E DEREENEH WA MAASHOOQ E JAWAAN CHEEZEY NEIST
    PESH E SAAHIB NAZARAAN HOOR E JINAAN CHEEZEY NEIST
    ---------------------
    AZ KHUD ANDEISH O AZEIN BAAZI GAH E DOON BEGUZAR
    KEH TU HASTI O WAJOOD E DU JAHAAN CHEEZEY NEIST

    CHAAWAAK:

    KALPANAASTI MRIGATRISHNAASAMA INDRASABHASHCHA URVASHIH
    AMRITASCHA NANDANA KAANANASCHAIVA MADIRAAPLUTAH
    NAASTI BHOGAHSUKHAM KADAAPI MRITYURPARHAAT
    AYAMAATMAN JIWANAMUKTAH GYAANALOKEH PRAVISHYATI
    -------------------
    JAAWAT JEEWEIT SUKHAM JEEWEIT RINAM KRITWA GHRITAM PEEWEIT
    BHASMI BHOOTASYA DEHASYA MARTYE PUNARAAGANAM KUTAH?

    Chunkeh yeh safha Allama marhoom se t'aalluq rakhta hai, isliye unke Farsi ash'aar ka Urdu tarjuma karna besood jaanta hoon. Allama marhoom ke sachhey chaahne waale unke Farsi kalaam ka tarjuma bhi baa aasaani haasil kar sakte hain.

    Rishi Charwaak ke shlokon (baiton) ka tarjuma yeh hai:-

    Indra Sabha aur Urwashi (Bahishti raqqaasa) mahaz tasawwur hai hiran ki khuli aankhon mein neend ki tarah. Bilkul usi tarah Nandan Kaanan (Bagh e bahisht) aur usmein bahne waali sharaab ki nadiyon ka hona keh jis sharaab ke peene se hayaat e jaawidaan milegi (Kyunkeh jis aatma ko tumlog zinda aur paainda jaante ho, uska swarg jaa kar amrit peene ka kya matlab?). Naheen hai sukh bhog (jismaani lazzaton) ka maut ke baad koi imkaan. Yeh aatma paikar e khaaki se chhoot kar paikar e noor mein ilm e haq ke aalam mein daakhil hoti hai!
    ------------------------------------
    Jab tak jiyo, sukh mein jiyo (yaane murda dili mein na jiyo) aur udhaar (bhi agar karna ho to) le kar ghee (ghee, makhan ko Arya log lazeez ghizaa jaante the) piyo! Kyunkeh raakh mein tabdeel tumhaara khaaki paikar is duniya e faani mein ghee ka qarz adaa karne naheen aayega!

    Mere Khaaliq ki mehr se main bhi bahut koshish aur kaawish se Iraq mein 5 saal rahkar Arabi aur Qur'aan Majeed se kuchh had tak waaqif ho chuka hoon aur Sanskrit aur Geeta ka paath bachpan se mere dada marhoom se seekhta parhta aaya hoon.

    Allama marhoom ne kyun yeh nazm kahi thi iska raaz e muzmir Qur'aan Majeed ke mandarja e zail Aayat e Kareema aur phir Geeta ke is shlok aur in donon ke tarjuma se zaahir ho jaayega!

    Aayat e Qur'aan Majeed:-

    QUL YAA IBAADILLAZEENA ASRAFUU ALAA ANFUSIKUM! LAA TAQNATUU MIRRAHMATILLAAHI! INNALLAAHA YAGHFIRUZZUNUUBA JAMIYYAH! INNAHUU HU ALGHAFUURURRAHEEM!

    "Aap farmaa dijiye (Ae Nabi) un Allah ki ibaadat karne waalon se keh tumlog apne nufoos par azlaam dhaane ka yaane apne gunaahon ka itna asar na lo keh tum (yaane unki sharm se simat kar) Allah ki rahmat se maayoos rahne lago! Beshak Allah tumhaare tamaam gunaahon se tumko m'aaf aur paak kar dega! Beshak Woh bahut ziyada bakhshne waala aur meharbaan hai!

    Shlok Shrimadbgahwat Geeta:-

    SARWADHARMAANI PARITYAJYAM MAAMEKAM SHARANAM VRAJAH!
    AHAM TWAAM SARWAPAAPEVYO MOKHSHAYISHYAAMI MAA SHUCHAH!

    Tum log apne saare ghalat aqaayad aur saarey burey aamaal ko bhool kar Mujh Eik ki panaah mein aa jaao! Main tumko tumhaare kiye huey saare paapon se (gunaahon se) tumko mukt (aazaad) kar doonga! Mayoos na raho!

    Ab Allama Marhoom (Ishwar unki rooh ko aalam e haq aur dariya e be karaan e ilm o tasleem mein hameisha azeez aur zinda rakhey!) ki yeh nazm kitni baland sachhai ki taraf ishaara karti hai, is ka ahsaas har qaari ko zaroor ho jaayega.

    Shukriya.

    CA. Shyamal Mitra
    Kalkatta. Bharat.

    ReplyDelete