Pages

(Zarb-e-Kaleem-203) Ye Nukta Khoob Kaha Sher Shah Suri Ne

(18)

Ye Nukta Khoob Kaha Sher Shah Suri Ne
Ke Imtiaz-e-Qabail Tamam Tar Khwari

Sher Shah Suri has so well said:
The distinction of tribes is the cause of all ruin.

Aziz Hai Unhain Naam-e-Waziri-o-Mehsood
Abhi Ye Khilaat-e-Afghaniat Se Hain Aari

Waziris and Mahsuds are names dearest to heart;
Alas! They feel no pride in being Afghans.

Hazar Parah Hai Kuhasar Ki Musalmani
Ke Har Qabeela Hai Apne Buton Ka Zunnari

The Muslims of the mountains are divided into thousand tribes,
And every tribe has its own idol.

Wohi Haram Hai, Wohi Itebaar-e-Laat-o-Manaat
Khuda Naseeb Kare Tujh Ko Zarbat-e-Kari!

The same sanctuary is filled with Lat and Manat;
May God grant you power to break them all.

1 comment:

  1. zarb e kari ..esme e azam k makhfi zikar se lagti jo pas anfas se hota. jab tk dil pr galazat mojod hai insan apnay asal makam ki terf kabhi nahi ja skta..

    ReplyDelete