Pages

(Zarb-e-Kaleem-204) Nigah Vo Nahin Jo Surkh-o-Zard Pehchane

(19)

Nigah Woh Nahin Jo Surkh-o-Zard Pehchane
Nigah Woh Hai Ke Mouhtaj-e-Mehr-o-Mah Nahin

rue sight is not that distinguishes between red and purple,
True sight is not dependent upon the sun and the moon.

Farang Se Bohat Aage Hai Manzil-e-Momin
Qadam Utha! Ye Maqam Intahaye Rah Nahin

The destination of the believer is beyond the Frankish horizon;
Take courage, it is not the end of your journey.

Khule Hain Sub Ke Liye Ghareebon Ke Maikhane
Uloom-e-Taza Ki Sarmastiyan Gunah Nahin

The taverns of the West are open for all:
The ecstasy of the new learning is not a sin.

Issi Suroor Mein Poshida Mout Bhi Hai Teri
Tere Badan Men Agar Souz-e-‘La Ilah’ Nahin

The exhilaration will lead you death
If you do not have the burning of 'La Ilah'.

Sunain Ge Meri Sada Khanzadgan-e-Kabeer?
Gileem Posh Hon Main Sahib-e-Kulah Nahin!

Will the great Sirdar listen to my feeble voice?
I am only a dervish lacking in worldly honor.

2 comments:

  1. SOze La ilah.. wo dard hai jo rooh abhi tk mehsoos krti apnay malik se bichar kr is dunya e fani mai jo milta hai. dunya dard ka ghar hai. idhr takleefain hi hian. pr alame e arwah mai sirf pyar hi pyar. jo hamari rooh nay alastu bi rabbi k doran allah pak se kia...aj wo wada yad nahi hai. sheetan k sath dosti laga li hum nay.

    ReplyDelete
  2. Khule Hain Sub Ke Liye Ghareebon Ke Maikhane
    not ghareebon, its gharbiyon (westerns)

    ReplyDelete