Pages

(Zarb-e-Kaleem-205-Book Complete) Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigahbani

(20)

Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigehbani
Ya Banda-e-Sehrai Ya Mard-e-Kuhistani

The man of the desert of the mountains
Alone can further the purposes of Nature.

Dunya Mein Muhasib Hai Tehzeeb-e-Fasoon Gar Ka
Hai Iss Ki Faqeeri Mein Sarmaya-e-Sultani

He is the critic of the culture that casts spell all around,
His faqr is the first step to kingship.

Ye Husn-o-Latafat Kyun, Woh Quwwat-o-Shoukat Kyun
Bulbul Chamanistani, Shahbaz Byabani !

Why this beauty and charm, why that power and majesty?
The nightingale of the garden and the hawk of the desert!

Ae Sheikh! Bohat Achi Maktab Ki Faza, Lekin
Banti Hai Byaban Mein Farooqi-o-Salmani

O Shaykh! The atmosphere in the school is so pleasant,
But only in deserts are people like Faruq and Salman born.

Sadiyon Mein Kahin Paida Hota Hai Hareef Uss Ka
Talwar Hai Taizi Mein Sehbaye Musalmani!

The rapturous wine of a Muslim is as keen as a sword,
Its rival is hardly born after centuries.

3 comments:

  1. Hazaaron saal nargis apni bay-noori pe roti hai
    Bari mushkil say hota hai chaman men deeda war paida
    IQBAL(R.A) ka yeh shair un he pr musalam hai.

    ReplyDelete
  2. Amazing words with awesome thinking.
    khwab nama

    ReplyDelete
  3. Sarmaya e Sultani. Isme e ALLAh zaat hai. jis ko parh laynay se ilm e laduni khul jata hai. or phir kisi ilm prhnay ki hajat nahi rahti.

    ReplyDelete