Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-062) Majnu Ne Shehar Chora, Tu Sehra Bhi Chor De

Majnoon Ne Sheher Chora Tu Sehra Bhi Chor De
Nazare Ki Hawas Ho To Laila Bhi Chor De

Majnun abandoned habitation, you should abandon wilderness also
If there be ambition for Sight, you should abandon Layla also

Waaiz! Kamal-e-Tark Se Milti Hai Yaan Murad
Dunya Jo Chor Di Ha To Uqba Bhi Chor De

O preacher! Perfection of abandonment attains the objective
As you have abandoned the world, abandon the Hereafter also

Taqleed Ki Rawish Se To Behter Hai Khudkushi
Rasta Bhi Dhoond, Khizr Ka Soda Bhi Chor De

Suicide is better than the way of taqlid
Seek your own path, abandon the love of Khizr also

Manind-e-Khama Teri Zuban Par Hai Harf-e-Ghair
Begana Shay Pe Nazish-e-Bay-Ja Bhi Chor De

Like the pen the un‐Islamic message is on your tongue
Abandon unjustified pride in the un‐Islamic objects also

Lutf-e-Kalaam Kya Jo Na Ho Dil Mein Dard-e-Ishq
Bismil Nahin Hai Tu To Tarapna Bhi Chor De

Theology is no pleasure if heart does not have Love’s pathos
If you are not the Wounded, you should abandon fluttering also

Shabnam Ki Tarah Phoolon Pe Ro, Aur Chaman Se Chal
Iss Bagh Mein Qayam Ka Soda Bhi Chor De

Weep like the dew on flowers and leave the garden
Abandon the desire of staying in this garden also

Hai Ashiqi Mein Rasm Alag Sub Se Baithna
Butkhana Bhi, Haram Bhi, Kaleesa Bhi Chor De

The custom of Love is abandonment of all
Abandon temple, mosque, and church also

Sodagari Nahin, Ye Ibadat Khuda Ki Hai
Ae Be-Khabar! Jaza Ki Tamanna Bhi Chor De

This is not business, this is ‘ibadat of God!
O ignorant one, abandon the longing for reward also

Acha Hai Dil Ke Sath Rahe Paasban-e-Aqal
Lekin Kabhi Kabhi Isse Tanha Bhi Chor De

It is good to guard Intuition with Intellect
But sometimes you should let it go alone also

Jeena Woh Kya Jo Ho Nafas-e-Ghair Par Madar
Shohrat Ki Zindagi Ka Bhrosa Bhi Chor De

What life is that which is dependent on others?
Abandon dependence on the life of fame also

Shaukhi Si Hai Sawal-e-Mukarar? Mein Ae Kaleem!
Shart-e-Raza Ye Hai Ke Taqaza Bhi Chor De

Repeated request is a kind of boldness! O Kaleem
The condition for approbation is to abandon urging also

Waaiz Saboot Laye Jo Mai Ke Jawaz Mein
Iqbal Ko Ye Zid Hai Peena Bhi Chor De

As the preacher brought proof in support of wine
Iqbal insists that he should abandon drinking also.

22 comments:

  1. Iqbal is no doubt the greatest Urdu poet ever and this is an open evidence to this fact !!

    ReplyDelete
  2. Just one word for the greatest! Wahhhhh!

    ReplyDelete
  3. iqbal was a gair muqallid..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wow,kia you App ka Shagird ya parusi ta?
      Read full,or ask from ULLAMA,then talk.

      Delete
    2. Wow,kia Wu App ka shagird ya rishtidar ta?
      READ FULL OR ASK FROM ULLAMA ABOUT ALLAMA MUHAMMAD IQBAL.

      Delete
    3. I am very curious about your statement ...As you mentioned iqbal as gair muqalid.....can you please explain that...?

      Delete
    4. Are you jaahil Mr. Nasir?
      itna bhi sense nhi hai ki Allama Iqbal taqleed kar sakte hain ya nhi??
      Aur jaahil ulmaon ki tarah samjha hai kya Iqbal ko bhi??
      Aur haan... Iqbal gair-muqallid nhi the... Muhaqqiq the... Gair-muqallid kuch nhi hota...

      Delete
    5. mulana umi iqbal ke murshad they

      Delete
  4. Excellent !!!!!!!!

    ReplyDelete
  5. Alama iqbal The great poet,philosphar,teacher, SALLAAMM.

    ReplyDelete
  6. Allama Iqbal was Great Wali Allah

    ReplyDelete
  7. Greatest sufi poet,,,,,,,

    ReplyDelete
  8. IQBAL HAI IQBAL HAMARA

    ReplyDelete
  9. Allah ka ishq mai kisi ki takleed nahe ho sakti kyun k ye to Allah ki taraf sey ata hota hai kisi ko kitna or kisi ko kitna her aik k ishq ka rang juda juda hai...jo dosri takleed hai oska zikr yahan iqbal ney nahe kia....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sir pehli line mai hi majnoo ki taqleed to kr di hai..

      Delete
  10. mein ne iqbal jesa shaair aur koi nahi parha

    ReplyDelete
  11. Closer reading of line 2 - Hawas is desire or rather lust
    (PS:in some context Hawas can ALSO mean ambition)

    ReplyDelete
  12. Hazrat Allama Muhammad Iqbal ''RA,, Bohat Kamal ke shakhs the

    ReplyDelete