Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-020) Aftab-e-Subah

Aftab-e-Subah
The Morning Sun

Shourish-e-Maikhana-e-Insan Se Baalatar Hai Tu
Zeenat-e-Bazm-e-Falak Ho Jis Se Woh Saghir Hai Tu

Far from the ignoble strife of Man’s tavern you are
The wine‐cup adorning the sky’s assemblage you are

Ho Dar-e-Gosh-e-Uroos-e-Subah Woh Gohar Hai Tu
Jis Pe Seemaye Ufaq Nazaan Ho Woh Zaiwar Hai Tu

The jewel which should be the pearl of the morning’s bride’s ear you are
The ornament which would be the pride of horizon’s forehead you are

Safha-e-Ayyam Se Dagh-e-Madaad-e-Shab Mita
Asman Se Naqsh-e-Batil Ki Tarah Koukab Mita

The blot of night’s ink from time’s page has been removed!
The star from sky like a spurious picture has been removed!

Husn Tera Jab Huwa Baam-e-Falak Se Jalwa-Gar
Ankh Se Urta Hai Yak Dam Khawab Ki Mai Ka Asar

When from the roof of the sky your beauty appears
Effect of sleep’s wine suddenly from eyes disappears

Noor Se Maamoor Ho Jata Hai Damaan-e-Nazar
Kholti Hai Chashm-e-Zahir Ko Zia Teri Magar

Perception’s expanse gets filled with light
Though opens only the material eye your light

Dhoondti Hain Jis Ko Ankhain Woh Tamasha Chahiye
Chashme-e-Batin Jis Se Khul Jaye Woh Jalwa Chahiye

The spectacle which the eyes seek is desired
The effulgence which would open the insight is desired

Shauq-e-Azadi Ke Dunya Mein Na Nikle Hosle
Zindagi Bhar Qaid Zanjeer-e-Taaluq Mein Rahe

The desires for freedom were not fulfilled in this life
We remained imprisoned in chains of dependence all life

Zair-o-Bala Aik Hain Teri Nigahon Ke Liye
Arzoo Hai Kuch Issi Chashm-e-Tamasha Ki Mujhe

The high and the low are alike for your eye
I too have longing for such a discerning eye

Ankh Meri Aur Ke Gham Mein Sar Shak Abad Ho
Imtiaz-e-Millat-o-Aaeen Se Dil Azad Ho

May my eye shedding tears in sympathy for others’ woes be!
May my heart free from the prejudice of nation and customs be!

Basta-e-Rang-e-Khasusiat Na Ho Meri Zuban
Noo-e-Insan Qoum Ho Meri, Watan Mera Jahan

May my tongue be not bound with discrimination of color
May mankind be my nation, the whole world my country be

Didah-e-Batin Pe Raaz-e-Nazm-e-Qudrat Ho Ayan
Ho Shanasaye Falak Shama-e-Takhiyul Ka Duhwan

May secret of Nature’s organization clear to my insight be
May smoke of my imagination’s candle rising to the sky be

Uqda-e-Azdad Ki Kawish Na Tarpaye Mujhe
Husn-e-Ishq Angaiz Har Shay Mein Nazar Aye Mujhe

May search for secrets of opposites not make me restless!
May the Love‐creating Beauty in everything appear to me!

Sadma Aa Jaye Hawa Se Gul Ki Patti Ko Agar
Ashak Ban Kar Meri Ankhon Se Tapak Jaye Asar

If the rose petals get damaged by the breeze
May its pain dropping from my eye as a tear be

Dil Mein Ho Souz-e-Mohabbat Ka Woh Chota Sa Sharar
Noor Se Jis Ke Mile Raaz-e-Haqiqat Ki Khabar

May the heart contain that little spark of Love’s fire
The light of which may contain the secret of the Truth

Shahid-e-Qudrat Ka Aaeena Ho, Dil Mera Na Ho
Sar Mein Juz Hamdardi-e-Insan Koi Souda Na Ho

May my heart not mine but the Beloved’s mirror be!
May no thought in my mind except human sympathy be!

Tu Agar Zehmat-Kash-e-Hangama-e-Alam Nahin
Ye Fazilat Ka Nishan Ae Naiyyar-e-Azam Nahin

If you cannot endure the hardships of the tumultuous world
O the Great Luminary that is not the mark of greatness!

Apne Husn-e-Alam Aara Se Jot U Mehram Nahin
Humsar-e-Yak Zarra-e-Khak-e-Dar-e-Adam Nahin

As you are not aware of your world‐decorating beauty
You cannot be equal to a speck of dust at the Man’s door!

Noor-e-Masjood-e-Malak Garam Tamasha Hi Raha
Aur Tu Minnat Pazeer-e-Subah-e-Farda Hi Raha

The light of Man eager for the Spectacle ever remained
And you obligated to the tomorrow’s morning ever remained

Arzoo Noor-e-Haqiqat Ki Humare Dil Mein Hai
Laila-e-Zauq-e-Talab Ka Ghar Issi Mehmil Mein Hai

Longing for the Light of the Truth is only in our hearts
Abode of Lailah of desire for search is only in this litter

Kis Qadar Lazzat Kushood-e-Aqdah-e-Mushkil Mein Hai
Lutf-e-Sad Hasil  Humari Saee-e-Behasil Mein Hai

Opening of the difficult knot, Oh what a pleasure it is!
The pleasure of universal gain in our endless effort is!

Dard-e-Istafhaam Se Waqif Tera Pehlu Nahin
Justujoo-e-Raaz-e-Qudrat Ka Shanasa To Nahin

Your bosom is unacquainted with the pain of investigation
You are not familiar with searching of the secrets of Nature

No comments:

Post a Comment