Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bal-e-Jibril-042) Ye Peyam De Gayi Hai Mujhe Bad-e-Subah Gahi

Ye Peyam De Gyi Hai Mujhe Bad-e-Subahgahi
Ke Khudi Ke Arifon Ka Hai Maqam Padshahi

The morning breeze has whispered to me a secret,
That those who know their self-hood, are equal to kings.

Teri Zindagi Issi Se, Teri Aabru Issi Se
Jo Rahi Khudi To Shahi, Na Rahi To Roosiyahi

Self-hood is the essence of your life and honor,
You shall rule with it, but without it be in disgrace.

Na Diya Nishan-e-Manzil Mujhe Ae Hakeem Tu Ne
Mujhe Kya Gila Ho Tujh Se, Tu Na Reh Nasheen Na Rahi

You have not led my way, O man of wisdom!
But why, complain? You know not the way.

Mere Halqa-e-Sukhan Mein Abhi Zair-e-Tarbiat Hain
Woh Gada Ke Jante Hain Rah-o-Rasm-e-Kajkalahi

Fakirs who know the wont and way of kings
Are as yet being trained in my literary circle.

Ye Maamle Hain Nazuk, Jo Teri Raza Ho Tu Kar
Ke Mujhe To Khush Na Aya Ye Tareeq-e-Khanqahi

Your monastic cult is a strait and narrow path,
Which I like not, but your freedom I respect.

Tu Huma Ka Hai Shikari, Abhi Ibtada Hai Teri
Nahin Muslihat Se Khali Ye Jahan-e-Murg-o-Mahi

This world of inferior prey is meant to sharpen your claws,
You are an eagle‐hunter, but are a novice yet.

Tu Arab Ho Ya Ajam Ho, Tera ‘LA ILAHA ILLAH’
Lughat-e-Ghareeb, Jab Tak Tera Dil Na De Gawahi

Whether you are in the East or West, your faith
Is meaningless, unless your heart affirms it.

19 comments:

  1. great, but the heart need to grasp it, Shafqat has sung very greatly

    ReplyDelete
  2. It is the theme of human nature.

    ReplyDelete
  3. why is the last word finish on illah, should not it be illalah
    please help as i love this ghazal

    ReplyDelete
    Replies
    1. Qun kai la ilah ki gawahi dil jb dai ga yani Allah kai masiwa ko bhula kr srf Allah ko pukaray ga to Allah milay ga...jb dil sai unhain hm chahayn gy.......wo khud hi krm frmayn gy...hazrat shah hakeem akhtar r.a kay bayanat or kitaboon ka mutala kro dost bohoot balutf mozoat hain dost drd e dill sy bhara dil tha un ka www.khanqah.org

      Delete
  4. Beautiful poem,
    Heart Tuching.

    ReplyDelete
  5. mera bhi like he ap ki website ko jo iqbal R.A ki poetry publish kar rahi he :)

    ReplyDelete

  6. Yeh Muamlay Hain Nazuk, Jo Teri Raza Ho to Kar,,,*

    K Mujhe to Khush Na Aaya Yeh Tareeq e Khanqahi....!!

    #Allama_IQBAL

    #Bal_e_Jibril...

    Plz es ki tashreh karay ga koe?

    ReplyDelete

  7. Yeh Muamlay Hain Nazuk, Jo Teri Raza Ho to Kar,,,*

    K Mujhe to Khush Na Aaya Yeh Tareeq e Khanqahi....!!

    #Allama_IQBAL

    #Bal_e_Jibril...

    ReplyDelete
  8. i love poetry with alama iqbal sir.

    ReplyDelete
  9. Khudi keh bare main koi aur batain

    ReplyDelete
  10. Great and motivational thought

    ReplyDelete
  11. It's a shame that English Translation doesn't convey the real meaning of these verses.

    ReplyDelete