Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bal-e-Jibril-125) Qaid Khane Mein Ma'utmid Ki Faryad

Qaidkhane Mein Mautamid Ki Faryad

MU‘TAMID’S LAMENT IN PRISON

Mautamid Ishbilia Ka Badshah Aur Arbi Shayar Tha. Haspania Ke Aik Hukmaran Ne Uss Ko Shikast De Kar Qaid Mein Dal Diya Tha. Mautamid Ki Nazmain Angrezi Mein Tarjuma Ho Kar “Wisdom Of The East Series” Mein Shaeya Ho Chuki Hai.

Mu‘tamid was the king of Seville and an Arabic poet. He was defeated and imprisoned by a ruler of Spain. Mu‘tamid’s poems have been translated into English and published in the Wisdom of the East series.

Ek Faghan-e-Be Sharar Seene Mein Baqi Reh Gyi
Souz Bhi Rukhsat Huwa, Jati Rahi Taseer Bhi

In my breast, A wail of grief, without any spark or flash, alone survives,
Passionless, ineffectual.

Mard-e-Hur Zindan Mein Hai Be-Naiza-o-Shamsheer Aaj
Main Pasheman Hun, Pasheman Hai Meri Tadbeer Bhi

A free man is in prison today, without a spear or a sword;
Regret overwhelms me and also my strategy.

Khud-Ba-Khud Zanjeer Ki Janib Khincha Jata Hai Dil
Thi Issi Foulad Se Shaid Meri Shamsheer Bhi

My heart Is drawn by instinct to chains.
Perhaps my sword was of the same steel.


Jo Meri Taeg-e-Dodam Thi, Ab Meri Shamsheer Hai
Shoukh-o-Be Parwa Hai Kitna Khaliq-e-Taqdeer Bhi !

Once I had a two‐edged sword– It turned into the chains that shackle me now.
How whimsical and indifferent is the Author of fates.

4 comments:

  1. Mautamid Ishbilia Ka Badshah Aur Arbi Shayar Tha. Pr usy Marabateen ke Ameer Yousaf Bin Tashfeen ne qaid kia tha na ke Undalusia ke kisi hukamran ne or us ke waja ye thi ke us ne Husnul-lait ke jang me Muslim army ke sath ghadari ke thi

    ReplyDelete
  2. Correction in translation, 1st line of last couplet.... Shamsher is Zanjeer

    ReplyDelete