Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bal-e-Jibril-127) Haspania

Haspania
SPAIN

(Haspania Ki Sar Zameen Mein Likhe Gye)
(Wapis Ate Huwe)

(Written in Spain—on the way back)

Haspania Tu Khoon-e-Musalman Ka Ameen Hai
Manind-e-Haram Pak Hai Tu Meri Nazar Mein

Spain! You are the trustee of the Muslim blood:
In my eyes you are sanctified like the Harem.

Poshida Teri Khak Mein Sajdon Ke Nishan Hain
Khamosh Azanain Hain Teri Baad-e-Sehar Mein

Prints of prostration lie hidden in your dust,
Silent calls to prayers in your morning air.

Roshan Thin Sitaron Ki Tarah In Ki Sananain
Khaime The Kabhi Jin Ke Tere Koh-o-Qamar Mein

In your hills and vales were the tents of those,
The tips of whose lances were bright like the stars.

Phir Tere Haseenon Ko Zaroorat Hai Hina Ki?
Baqi Hai Abhi Rang Mere Khoon-e-Jigar Mein !

Is more henna needed by your pretties?
My lifeblood can give them some colour!

Kyun Khs-o-Khashaak Se Dab Jaye Musalman
Mana, Woh Tab-e-Taab Nahin Iss Ke Sharar Mein

How can a Muslim be put down by the straw and grass,
Even if his flame has lost its heat and fire!

Garnata Bhi Dekha Meri Ankhon Ne Walekin
Taskeen-e-Musafir Na Safar Mein Na Hazr Mein

My eyes watched Granada as well,
But the traveller’s content neither in journey nor in rest:

Dekha Bhi Dikhaya Bhi, Sunaya Bhi Suna Bhi
Hai Dil Ki Tasalli Na Nazar Mein, Na Khabar Mein!

I saw as well as showed, I spoke as well as listened,
Neither seeing nor learning brings calm to the heart!

8 comments:

  1. Difficilt to imagine the feeling of Iqbal while reading this: :(

    "Phir Tere Haseenon Ko Zaroorat Hai Hina Ki?
    Baqi Hai Abhi Rang Mere Khoon-e-Jigar Mein !"

    ReplyDelete
    Replies
    1. can u plz explain d meaning of dis stanza?

      Delete
  2. Very best poetry.
    Shair e Islam
    Poet of the East

    ReplyDelete
  3. ya Allah humhen bhi Hazat Alama Iqbal R.A jesa Umata gham de de ameen

    ReplyDelete
  4. Gharnata bhi Dekha meri ankhon ne walekin taskeen ne musafir na safr mein na hazar mein, I can feel pain of muslims in Spain in this poetry 😢.

    ReplyDelete