Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-145) Bilal (R.A.)

Bilal (R.A.)

Likha Hai Aik Maghrabi Haq Shanas Ne
Ahl-e-Qalam Mein Jis Ka Bohat Ehtram Tha

A righteous Western writer has written
Who was highly respected among the literature

Joulan Gah-e-Sikandar-e-Rumi Tha Asia
Gardoon Se Bhi Buland Tar Uss Ka Maqam Tha

“Asia was the marshaling place of Sikandar of Rome
His status was More elegant than even the sky

Tareekh Keh Rahi Hai Ke Rumi Ke Samne
Dawa Kiya Jo Poras-o-Dara Ne, Khaam Tha

History attests that in combat with the Romans
The claims of Porus and Dara were vain

Dunya Ke Uss Shahenshah-o-Anjum Sipah Ko
Hairat Se Dekhta Falak-e-Neel Faam Tha

At this emperor with the myriad‐man army
The blue sky was looking with amazement

Aaj Asia Mein Uss Ko Koi Janta Nahin
Tareekh Daan Bhi Use Pehchanta Nahin

Today nobody knows him in Asia
Even the historian does not recognize him

Lekin Bilal (R.A.), Woh Habshi Zada Haqeer
Fitrat Thi Jis Ki Noor-e-Nabuwwat Se Mustaneer

But Bilal, that humble person with Negroid origin
Whose nature had been brightened by the Prophethood’s Light

Jis Ka Amen Azal Se Huwa Seena-e-Bilal (R.A.)
Mehkoom Uss Sada Ke Hain Shahanshah-o-Faqeer

The call whose custodian the breast of Bilal since eternity became
Subservient to which call emperors as well as the indigent became!

Hota Hai Jis Se Aswad-o-Ahmar Mein Ikhtilaat
Karti Hai Jo Ghareeb Ko Hum Pehlu-e-Ameer

Which brings amity between the black and the red
By which the poor and the rich are placed together

Hai Taza Aaj Tak Woh Nawa-e-Jigar Gudaz
Sadiyon Se Sun Raha Hai Jise Gosh-e-Charakh-e-Peer

That heart‐melting song is fresh till the present age
Which the old sky’s ear has been hearing for centuries”

Iqbal ! Kis Ke Ishq Ka Ye Faiz-e-Aam Hai
Rumi Fana Huwa, Habshi Ko Dawam Hai

Iqbal! This general blessing is due to whose love?
The Roman has perished, the Negro is immortal!

1 comment:

  1. Assalam o Alikum Sir! where can I get explanation?

    ReplyDelete