Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-179) Hum Mashriq Ke Maskeenon Ka Dil Maghrib Mein Ja Atka Hai

Hum Mashriq Ke Maskeenon Ka Dil Maghrib Mein Ja Atka Hai
Waan Kantar Sub Ballori Hain Yaan Aik Purana Matka Hai

We poor Easterners have been entangled in the West
All crystal decanters are there, only an old earthen jar is here

Iss Dour Mein Sub Mit Jaen Ge, Haan! Baqi Woh Rehjaye Ga
Jo Qaeem Apni Rah Pe Hai Aur Pakka Apni Hat Ka Hai

All will be annihilated in this age except the one
Who established in his ways and firm in his thought is

Ae Shiekh-o-Barhman, Sunte Ho! Kya Ahl-e-Basirat Kehte Hain
Gardoon Ne Kitni Bulandi Se In Qoumon Ko De Tapka Hai

O Shaikh and Brahman do you listen to what people with insight say?
Heaven from great heights has thrown down those nations

Ya Baham Pyar Ke Jalse The, Dastoor-e-Mohabbat Qaeem Tha
Ya Behas Mein Urdu Hindi Hai Ya Qurbani Ya Jhatka Hai

Who formerly had assemblies of affection with firm love
Now under discussion is Urdu and Hindi or Dhibh and Jhatka

1 comment: