Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-150) Mazhab - Tazmeen Bar Shair Mirza Bedil

Mazhab
Tazmeen Bar-Shair-e-Mirza Bedil


Religion
(Includes a verse by Mirza Bedil)


Taleem-e-Peer-e-Falsafa-e-Maghrabi Hai Ye
Nadan Hain Jin Ko Hasti-e-Ghaeeb Ki Hai Talash

The teaching of the sage of Western philosophy is
“Those seeking the Invisible Existence are ignorant

Paikar Agar Nazar Se Na Ho Ashna To Kya
Hai Sheikh Bhi Misal-e-Barhman Sanam Tarash

If the form is unfamiliar to sight
Would the Sheikh also be an idol‐maker like Brahmin?

Mehsoos Par Bina Hai Uloom-e-Jadeed Ki
Iss Dour Mein Hai Sheesha Aqaeed  Ka Pash Pash

The foundation of modern knowledge is on the tangible
In this age the wine‐bottle of Faith is shattered




Mazhab Hai Jis Ka Naam, Woh Hai Ek Junoon-e-Kham
Hai Jis Se Adami Ke Takhiyul Ko Intaash

What is known as din is an immature frenzy
Which is repulsive to human imagination”

Kehta Magar Hai Falsafa-e-Zindagi Kuch Aur
Mujh Par Liya Ye Murshid-e-Kamil Ne Raaz Faash

But the philosophy of life is saying something else
This secret has been divulged to me by the Perfect Preceptor

“Bahir Kamal And Ke Ashuftagi Khush Ast
Har Chand Aqal-e-Kul Shuda Aee Be-Junoon Mabash”

“With every perfection a little distress is welcome
However, perfect the Intellect, it is not good without Love.”

No comments:

Post a Comment