Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-152) Mazhab

Mazhab
Religion
Apni Millat Par Qiyas Aqwam-e-Maghrib Se Na Kar
Khas Hai Tarkeeb Mein Qoum-e-Rusool-e-Hashmi

Judge not your nation on the criteria of Western nations
Special in composition is the Hashimi Prophet’s nation

Un Ki Jamiat Ka Hai Mulk-o-Nasab Par Inhasar
Quwwat-e-Mazhab Se Mustahkam Hai Jamiat Teri

Based on country and race is their organization
The force of din stabilizes your organization

Daman-e-Deen Hath Se Chhuta To Jamiat Kahan
Aur Jamiat Huwi Rukhsat To Millat Bhi Gyi

If the din’s skirt is lost, disappears the organization
And if organization departs also disappears the nation!

8 comments: