Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bal-e-Jibril-131) Farman-e-Khuda (Farishton Se)

Farman-e-Khuda
(Farishton Se)


GOD’S COMMAND
(To His Angels)


Utho! Meri Dunya Ke Ghareebo Ko Jaga Do
Kakh-e-Umra Ke Dar-o-Diwar Hila Do

Rise, and from their slumber wake the poor ones of My world!
Shake the walls and windows of the mansions of the great!

Garmao Ghulamon Ka Lahoo Souz-e-Yaqeen Se
Kunjishik-e-Firomaya Ko Shaheen Se Lara Do

Kindle with the fire of faith the slow blood of the slaves!
Make the fearful sparrow bold to meet the falcon’s hate!

Sultani Jamhoor Ka Ata Hai Zamana
Jo Naqsh-e-Kuhan Tum Ko Nazar Aye, Mita Do

Close the hour approaches of the kingdom of the poor—
Every imprint of the past find and annihilate!

Jis Khait Se Dehqan Ko Mayassar Nahin Rozi
Uss Khait Ke Har Khausha-e-Gandum Ko Jala Do

Find the field whose harvest is no peasant’s daily bread—
Garner in the furnace every ripening ear of wheat!

Kyun Khaliq-o-Makhlooq  Mein Hayal Rahain Parde
Peeran-e-Kalisa Ko Kalisa Se Utha Do

Banish from the house of God the mumbling priest whose prayers
Like a veil creation from Created separate!

Haq Ra Ba-Sujoode, Sanamaan Ra Ba-Tawafe
Behter Hai Charagh-e-Haram-o-Dair Bujha Do

God by man’s prostrations, by man’s vows idols cheated—
Quench at once My shrine and their fane the sacred light!

Main Na Khush-o-Bezar Hun Mar Mar Ki Silon Se
Mere Liye Mitti Ka Haram Aur Bana Do

Rear for me another temple, build its walls with mud—
Wearied of their columned marbles, sickened is My sight!

Tehzeeb-e-Nawi Kargah-e-Shisha Garan Hai
Adaab-e-Junoon Shayar-e-Mashriq Ko Sikha Do!

All their fine new world a workshop filled with brittle glass—
Go! My poet of the East to madness dedicate.

25 comments:

  1. Please note a correction :

    in 4th line its "Fire" . . . not "Find"

    ReplyDelete
    Replies
    1. 'Find' is correct in the first line of verses, as the expression of fire appears in the next line. Thanks.

      Delete
    2. "Jis khait kay dehkan ko", it should be "which", rather than find...

      Delete
  2. Main Na Khush-o-Bezar Hun Mar Mar Ki Silon Se
    Mere Liye Mitti Ka Haram Aur Bana Do

    what is the meaning of this couplet?

    ReplyDelete
  3. Main Na Khush-o-Bezar Hun Mar Mar Ki Silon Se
    Mere Liye Mitti Ka Haram Aur Bana Do

    what is the meaning of this couplet?

    ReplyDelete
    Replies
    1. inn ka mtlab Hai k aj kal tmam MSAAJID KHUBSURAT TO HAIN MGR WAHAAN SAJDAH K'LIYAE SANG-E-MARMAR USE HOTA HAI MTLB K HAM SAJDAH KHUD KO MITANY ORR RAB KA HAQ ADAA KRNY K'LIYAE KRTY HAIN WAHAAN TO FAQAT SAR HI JHUKTA HAI ASAL SAJDAH YE NAI.DIKHLAWY KA SAJAH NAI CHAHTY ALLAMA SAHAB WO KEHTY HAIN DIL SE KRO SAJDAH AGR KRNA HAI TUM SANG-E-MARMAR PE RAZI HO TO THEEK MERY LIYAE MATI KI SAJDAH GAAH BNA DO

      Delete
    2. i am unhappy and enough of these marbles
      make a home of mud more for me

      Delete
  4. Main Na Khush-o-Bezar Hun Mar Mar Ki Silon Se

    I am not happy (kush) , and dishartened (Bezar) with these bricks of Marble.

    Mere Liye Mitti Ka Haram Aur Bana Do

    Build me a Mosque with mud.

    ReplyDelete
  5. Jis khait se dehqan ko mayassar na ho rozi .
    Us khait k har khaushaye gandum ko jala do
    Iska matlab kya hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. aisa khait jis se usky kaashtkaar ki rozi b na bany ,, matlb wo b bhokha rahy to behtr hai k us ko jala do. aag laga do.

      Delete
  6. Replies
    1. har khet aur fasl par pehla haq us fasl ke ugane wale ka hai, Allama ne ghareeb mazaareon ki ghurbat aur bechargi aur un ke malik jageerdaroon ke zulm ko bayan kia hai ko woh Zalim jageerdar ghareeb kisanon ku un ki mehnat ka jaaiz haq bhi nahi dete aur puri fasl par qabza kar lete hain. Ye Inqilab ka naar hai aur is shair mein usi falsafe ka aks hai jo Islam ne dia hai ke mazdoor ki mazdoori us ka paseena khusk hone se pehle ada kardo. Allama Takhreeb kari ka dars nahi de rahe, sirf ye keh rahe hain ke us khet se ugne wali fasl agar apne kisaan ko roti ne desake to us par kisi aur ka bhi haq nahi, Ishaar Us Jageerdaar par hai jo Kisaan ka haq maarta hai.

      Delete
  7. جب بھوک سے افلاس سے مرنے لگے بچے
    اس دور کے فرعون کی گردن کو دبا دو

    ReplyDelete
    Replies
    1. Chach kaun Daba day gay. Allama nay bhi doosron ko uk saya hai ye kardo wo kardo.

      Delete
    2. lakh lanat hai tumhari sovh ph

      Delete
  8. Mere Liye Mitti Ka Haram Aur Bana Do The Creator is asking for a new Kaba made of mud

    ReplyDelete
  9. Awesome website. Very well managed. Superb effort

    ReplyDelete
  10. Very beautiful poetry by Allama Iqbal

    ReplyDelete
  11. I want to Shrah of Allama Iqbal Poetry can anyone help me Jazakallah o khair

    ReplyDelete
  12. Peeran-e-Kalisa Ko Kalisa Se Utha Do....kindly someone elaborate its meaning....I understand the literal meaning of it..but whats the real message behind it.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Peeran, peer ki jama ( plural), Kaleesa is Urdu for church but here it means Khanqaah ya Msjid, matlab wo log jinhon ne mazhab ko apni jaageer bana kar khuda aur bande ke darmiyaan khare hogaye hain, Allama un ke baare main kehte hain keh khuda aur bande ke darmiyaan koi waseela ya mazhab ke thekedaar ki zaroorat nahi. Agaain Ishaara Aulia Allah ki taraf nahi balke Un bazameer Peeron aur Ulama par hai jo mazhab aur Deen ke naam par apni rozi aur siasat karte hain.

      Delete
  13. Garmao Ghulamon Ka Lahoo Souz-e-Yaqeen Se
    Kunjishik-e-Firomaya Ko Shaheen Se Lara Do

    Kindle with the fire of faith the slow blood of the slaves!
    Make the fearful sparrow bold to meet the falcon’s hate!

    Is line me allama sahab kya kehte he jara tafshir se samjavo.
    Jazakallah.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Es ma wo kehna chah rhy hain k yaqeen ka hona zaruri ha. Yqeen ki ahmiat p bt krty hue frmaty hain k en musalmao ko jo ajkal ghulam bny hue hain en ko wo yaqeen ata karo jo ghazwat ma sahaba karam (r.a) ko hasil tha k wo apni se bari taqat se tkra gae thy. Frmaty hain k en k yaqeen ko itna kamil krlo k wo apny maqsd ko pany k lea tyar hojae aur misal k tor p kehty hain k agarchy aik parindy jese kmzor ho lekn itna eman majbut hojae k aik shaheen se jese bary mushkil se b nimtny k lea tyar hojaen.

      Delete
  14. Is ashar me me Dr allama Iqbal me Karl marks Jarman philosopher ki baton Ko v dala hai

    ReplyDelete