Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-164) Ghazaliyat - Ae Baad-e-Saba ! Kamli Wale (S.A,W.W.) Se Ja Kahiyo Pegham Mera

Ghazaliat
Ghazals

Ae Bad-e-Saba! Kamli Wale (S.A.W.) Se Ja Kehiyo Pegham Mera
Qabze Se Ummat Bechari Ke Deen Bhi Gya, Dunya Bhi Gyi

O zephyr! Convey my message to the one wrapped in blanket
The poor Ummah has lost both din and material resources

Ye Mouj-e-Pareeshan  Khatar Ko Pegham Lab-e-Sahil Ne Diya
Hai Door Wisaal-e-Behar Abhi, Tu Darya Mein Ghabra Bhi Gyi!

The river bank gave this message to the restless wave
“Union with ocean is still far and you have already lost patience in the river”

Izzat Hai Mohabbat Ki Qaeem Ae Qais! Hijab-e-Mehmil Se
Mehmil Jo Gya Izzat Bhi Gyi, Ghairat Bhi Gyi, Laila Bhi Gyi

O Qais! Love’s honor is made durable with litter’s curtain
If litter is lost, glory, honor as well as Lailah is lost!

Ki Tark Tag-o-Dou Qatre Ne To Abruye Gohar Bhi Mili
Awargi-e-Fitrat Bhi Gyi Aur Kashmakash-e-Darya Bhi Gyi

Though the drop got pearl’s dignity by abandoning struggle
It lost taste for wandering and struggle in the river

Nikli To Lab-e-Iqbal Se Hai, Kya Janiye Kis Ki Hai Ye Sada
Pegham-e-Sukoon Pohancha Bhi Gyi, Dil Mehfil Ka Tarpa Bhi Gyi

Though this voice has emerged from Iqbal’s lips its source is unknown
The assembly got hope’s message as well as became restless for activism

7 comments: