Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Zarb-e-Kaleem-188) Teri Dua Se Qaza Tou Badal Nahin Sakti

(3)

Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin Sakti
Magar Hai Iss Se Ye Mumkin Ke Tu Badal Jaye

Your destiny can’t be changed though prayers;
Maybe you are changed thereby.

Teri Khudi Mein Agar Inqilab Ho Paida
Ajab Nahin Hai Ke Ye Char Soo Badal Jaye

If revolution takes place in your self,
Possibly this space and time may change.

Wohi Sharab, Wohi Haye-o-Hoo Rahe Baqi
Tareeq-e-Saqi-o-Rasm-e-Kadoo Badal Jaye

The same wine and the same tumult may continue,
The ways of the saki and the cup may change.

Teri Dua Hai Ke Ho Teri Arzoo Puri
Meri Dua Hai Teri Arzoo Badal Jaye!

You pray that your desire be fulfilled,
I pray that your desire be changed.

18 comments:

  1. teri dua wala bakwas hai...........

    ReplyDelete
    Replies
    1. bhai, teri dua se qaza jo he, wo to badal nahin sakti. tu ne khuda ke age khara hona he. Is baat ko koi bhi cheez badal nahin sakti. To is haq ko jaan kar tum khud hi badal jap, ye behtar nahin? Teri khudi mein agar inqalab ho peda, ajab nahi ke ye charsoo badal jaye. Hazoor (saw) ne pehle khud namaz parhi. Phir ghar walon ko parhai, phir aage namaz phehlai. Ab tum dekho, kesa charsoo badla he, ke kitni duniya khuda ke samne aaj jhuk rahi he? Par pehle apni khudi mein inqalab lao. Wesa to nahin hoga jesa nabi kareem (saw) ki ada se huwa, par tabdeeli aae gi zuroor. Agle couplet ko mein itna nahin samajh saka, to mein uss pe tabsara nahin karun ga, par aakhri couplet pe, agar teri dua he ke teri aarzoo ho puri, aur teri aarzoo apni qaza ke khilaf he, to teri qadar mein aur tere bhala ka hi sooch ke iqbal ne kaha he ke behtar yahin he ke teri aarzoo badal jae.

      Delete
  2. teri dua hai k ho teri arzoo puri
    meri dua hai k teri arzoo khatam na ho

    ye hona chiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. teri soch, teri aqal pe be shumar lanat,, dunia ka jahil tareen insan mny aj dekha hai,, toba hai is qadar na ahel or beqar log b dunia mn paye jaty hein,, unbelievable

      Delete
  3. sam..iqbal ko aisa bolta hai...samajh mein toh aaya nahi tere...go brush up ur knowledge...its brilliant ...the best line of the ghazal...tu chutiya hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. zuban samal kar bath karo

      Delete
    2. na samjhoon ko Allah samjha sakta hai....... dont even bother about sam comments....... we can only pray for him

      Delete
  4. I totally agree,,, Sam sahab abi 4th class ka student lagta hai,,,, last line hi puri nazm ka nachoor hai,,,,

    ReplyDelete
  5. Kalam - e - Iqbal ka jawab nahin... superb vision.

    ReplyDelete
  6. iqbal ko samjh to sakta nahi...apni ghatiya dimagh say fazooliyaat bak raha hay bewkoof ka bacha @ SAM SAM SAM

    ReplyDelete
  7. Wat a Man he was...he is not alive but his words has great power knowledge & wisdom which can change the destiny of nations...but cant change donkes like sam...:)

    ReplyDelete
  8. Iqbal was imam for muslims..sam you need to grow up bacha..

    ReplyDelete
  9. Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin Sakti
    Magar Hai Iss Se Ye Mumkin Ke Tu Badal Jaye.
    Allama Iqbal R.A

    Ghar badla na tu mumkin hai ki kissi ki baddua say tarae qaza badal jaye.
    Ishfaq

    ReplyDelete
  10. SAM sahab ur insane sabse best line ko bakwas kah rahe ho unhone arzoo pooori na hone ki baad isliye kahi kyunki uski arzoo hi achche kaam ki nahi bure kaam karne ki hai

    ReplyDelete
  11. last shair hi to sb se aala hai agr kisi ko samaj aaye to

    ReplyDelete
  12. Meri dua hai ke teri aarzoo badal jaay.


    Is line se kise problem hai???

    Hamari kai duaayen hamare haq men theek nahi hoti

    ReplyDelete
  13. Meri desires ha ma doctor ban jao, wo fail Hona chahiya, meri wo gf honi chahiya, we have a number of bad desires which could worse of the society .... That is why the last line is difficult to understand

    ReplyDelete