Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-061) Sakhtiyan Kerta Hun Dil Per, Ghair Se Ghafil Hun Mein

Sakhtiyan Karta Hun Dil Par, Ghair Se Ghafil Hun Main
Haye Kya Achi Kehi Zalim Hun Main, Jahil Hun Main

I bear hardships on myself, I am unconcerned with others
Alas! How strange, I am the oppressor, I am the ignorant

Main Jabhi Tak Tha Ke Teri Jalwa Pairayi Na Thi
Jo Namood-e-Haq Se Mit Jata Hai Woh Batil Hun Main

I existed only till the time Thy Splendor appeared
I am the falsehood which is annihilated by the Truth

Ilm Ke Darya Se Nikle Ghota Zan Gohar Badast
Waye Mehroomi! Khazaf Chain-e-Lab Sahil Hun Main

From the knowledge’s sea divers came out with pearls in hand
Alas, O deprivation! A mere pebble collector on the sea shore I am

Hai Meri Dillat Hi Kuch Meri Sharafat Ki Daleel
Jis Ki Ghaflat Ko Malak Rote Hain Woh Ghafil Hun Mein

My disgrace itself is the demonstration of my nobility
I am the negligence which the angels ardently desire

Bazm-e-Hasti ! Apni Araaish Pe Tu Nazaan Na Ho
Tu To Ek Tasveer Hai Mehfil Ki Aur Mehfil Hun Main

O the existence’ assemblage! Be not proud of your beauty
You are a mere picture of the assemblage, I am the assemblage

Dhoonta Phirta Hun Ae Iqbal Apne App Ko
App Hi Goya Musafir, App Hi Manzil Hun Mein

O Iqbal! I am in constant search for myself
I am the traveler as well as the destination

2 comments:

  1. main Allah, Us ka rasool aur iqbal sa ishq kar ta hoon......

    ReplyDelete
    Replies
    1. SAWW...Plz dont forget writing durood! :)

      Delete