Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-104) Qataa

Qataa
Qat`ah

Kal Aik Shaurida Khawab-Gah-e-Nabi (S.A.W.) Pe Ro Ro Ke Keh Raha Tha
Ke Misr-o-Hindustan Ke Muslim Binaye-e-Millat Mita Rahe Hain

Yesterday a desperate Lover was saying with wailing at the Prophet (PBUH)’s tomb
“The Egyptian and Indian Muslims dare destroying the Millat’s foundation!

Ye Zaeeran-e-Hareem-e-Magrib Hazar Rahbar Banain Humare
Humain Bhala In Se Wasta Kya Jo Tujh Se Na-Ashna Rahe Hain

These pilgrims to the West’s sanctuary may fake our leadership
What bond do we have with those who have remained unacquainted with you?

Ghazab Hain Ye ‘Murshadan-e-Khud-Been’ Khuda Qaum Ko Bachaye!
Bighaar Kar Tere Muslamon Ko Ye Apni Izzat Bana Rahe Hain

Outrageous are these “self‐seeking spiritual leaders”, May God protect your Millat
They are promoting their own glory by destroying the Muslims

Sune Ga Iqbal Kon In Ko, Ye Anjuman Hi Badal Gyi Hai
Naye Zamane Mein App  Hum Ko Purani Batain Suna Rahe Hain!

O Iqbal who would listen to you, the congregation has changed
You are telling us these tales of the old in the new age.

No comments:

Post a Comment