Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Zarb-e-Kaleem-151) Siasiyat-e-Mashriq-o-Maghrib - Ishtarakiat

Siasiat-e-Mashriq-o-Maghrib
Politics Of The East And The West

Ishtrakiat
Communism

Qoumon Ki Rawish Se Mujhe Hota Hai Ye Maloom
Be Sood Nahin Roos Ki Ye Garmi-e-Raftar

From wont and ways of nations all these facts so clear with ease I learn,
The Russians seem to be in haste to gain the goal for which they yearn.

Andesha Huwa Shaukhi-e-Afkaar Pe Majboor
Farsooda Tareeqon Se Zamana Huwa Bezar

The world is red tip with the modes that arenʹt in vogue and are outworn;
My intellect, that was tame and mild much pert and insolent has grown.

Insaan Ki Hawas Ne Jinhain Rakha Tha Chupa Kar
Khule Nazar Aate Hain Batadreej Woh Asrar

These mysteries which the greed of man had kept in veils of stuff so coarse
Are step by step emerging now and coming forth by dint of force.

Quran Mein Ho Ghota-Zan Ae Mard-e-Musalman
Allah Kare Tujh Ko Atta Jiddat-e-Kirdar

O Muslim, dive deep in the Book,Which was revealed to Prophetsʹ Seal;
May God, by grace on you bestow politeness, for good deeds much zeal!

Jo Harf-e-‘Qulil-Affo’ Mein Poshida Hai Ab Tak
Iss Dour Mein Shaid Woh Haqiqat Ho Namoodar!

The fact concealed in words so far, "Spend what is surplus and is spare,"
May come to light in modern age and make the meanings clear and bare.

3 comments:

  1. Iss Dour Mein Shaid Woh Haqiqat Ho Namoodar!

    wo haqeeqat isme e allah zaat hai. jo aj alal aylaan banta ja raha hai.
    pehlay chup kr peetay tay. banay ga sara jahan mah khana har koi bada khuwar ho ga.

    ab khulay aaam sharab e tahora Isme e allah hu ki dawat hai.... k wo sharab e tahora jis se apni haqeeqt khud per ashkar ho jati hai. or bina ranj wa mehnat allah pak ka qurb wa mulakaat naseeb hoti hai.

    ReplyDelete
  2. Jo Harf-e-‘Qulil-Affo’ Mein Poshida Hai Ab Tak
    Iss Dour Mein Shaid Woh Haqiqat Ho Namoodar!

    Sir ye communism ki baat ho rai hai,
    qulil affo ka mtlb b ye hai k jo zarorat sy zada hai wo pas na rakho
    Aur communism in russia also have the same stance at it start,

    So, is ka mtlb hua k quran k es bat ka amli izhaar russian revolution ma hony ja raha hai

    ReplyDelete