Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-131) Ghulam Qadir Ruhela

Ghulam Qadir Ruhela (Ruhilah)

Ruhela Kis Qadar Zalim, Jafa Joo, Keena Parwar Tha
Nikalain Shah-e-Taimoori Ki Ankhain Nauk-e-Khanjar Se

How cruel, tyrant and vindictive the Ruhilah was
He blinded the Mughal Emperor with the point of his dagger

Diya Ahl-e-Haram Ko Raqs Ka Farman Sitamgar Ne
Ye Andaz-e-Sitam Kuch Kam Na Tha Asaar-e-Mehshar Se

The tyrant ordered members of the royal household to dance
This tyranny was no less than the Judgment Day’s signal

Bhala Tameel Iss Farman-e-Ghairat Kush Ki Mumkin Thi!
Shahenshahi Haram Ki Nainaan-e-Saman Bar Se

For the delicate ladies of the royal household it was
Utterly impossible to comply with this shameless order

Banaya Ah! Saman-e-Tarab Bedard Ne Un Ko
Nihan Tha Husn Jin Ka Chasm-e-Mehr-o-Mah-o-Akhtar Se

Ah! The merciless one made them the means of pleasure
Whose beauty had been veiled from sun’s, moon’s and stars

Larazte The Dil-e-Nazuk, Qadam Majboor-e-Junbish The
Rawan Darya-e-Khoon, Shehzadiyon Ke Dida-e-Tar Se

The feeble hearts were throbbing, the feet were forced to move
A river of blood was flowing from the wet eyes of the princesses

Yunhi Kuch Dair Tak Mehw-e-Nazar Ankhain Raheen Uss Ki
Kiya Ghabra Ke Phir Azad Sar Ko Baar-e-Mighfar Se

For some time his eyes remained thus absorbed in seeing
In confusion he freed his head from the load of Mighfar

Qamar Se, Uth Ke Taigh-e-Jaan Satan, Aatish Fashan Kholi
Sabaq Aamoz-e-Tabani Hun Anjum Jis Ke Jouhar Se

He untied the deadly, fire‐spitting sword from the waist
Whose sharpness was a source of luminescence to the stars

Rakha Khanjar Ko Agay Aur Phir Kuch Soch Kar Leta
Taqaza Kar Rahi Thi Neend Goya Chasm-e-Ahmar Se

He put the dagger in front, and lied down in some thought
Sleep was demanding rest from the red eyes so to say

Bujhaye Khawab Ke Pani Ne Akhgar Uss Ki Ankhon Ke
Nazar Sharma Gi Zalim Ki Dard-Angaiz Manzar Se

The water of sleep extinguished the embers of his eyes
The tyrant’s sight became ashamed of the painful spectacle!

Phir Utha Aur Taimoori Haram Se Yun Laga Kehne
Shikayat Chahye Tum Ko Na Kuch Apne Muqaddar Se

He got up and started saying this to Taimur’s household
“You should have no complaint against your fate”

Mera Masnad Pe Sou Jana Banawat Thi, Takaluf Tha
Ke Ghaflat Door Hai Shaan-e-Saf Aryaan-e-Lashkar Se

My sleeping in the couch was a mere show, an affectation
Because stupor is foreign to the dignity of fighters

Ye Maqsad Tha Mera Iss Se, Koi Taimoor Ki Beti
Mujhe Ghafil Samajh Kar Maar Dale Mere Khanjar Se

It was my intention that some daughter of Taimur
Considering me unconscious might kill me with my own dagger,

Magar Ye Raaz Akhir Khul Gya Sare Zamane Par
Hamiyyat Naam Ha Jis Ka, Gyi Taimoor Ke Ghar Se

But at last this secret has dawned to the whole world
Concern for honor has departed from Taimur’s household.”

7 comments:

  1. Farhat Khan Yousafzai24 August 2018 at 10:57

    Ghulam Qadir Rohilla had been castrated by order of Shah Alan ll and he took revenge like a true pashtun

    ReplyDelete
  2. It speaks about the downfall of Mughal Empire due to the succession of unworthy rulers

    ReplyDelete